Aaj subah naashte mein ai khuda tu itna kar
Biscuti se chehre hon aur muskurahaton ka ghar
Ek hansi jo chini mein ghuli hui si ho
Aur ek nanhi si jo doodh se dhuli si ho
Mil sake to saath khasta sa bhi ek khwab ho
Aur garma garm pyaar ki chaunk behisaab ho
Side mein kuch bikhre lamhe sek jinmein pyaar ki
Toast pe ho angdai leti
Lekin subah aur sab, na jaane kyun the so rahe
Apne khwab dekhte wo sab kahin the kho gaye
Chule pe pakti zindagi mein thandi karke pee gaya
Basi sa kal ki namuradi, do nivalon mein nigal gaya
Halak mein ek dard tha
Sachai thodi tez thi
Main akela chal pada
Khali nashte ki mez thi
Sunday, September 12, 2010
Subscribe to:
Posts (Atom)